Hamd / Naat / Soz-o-Salaam / Marsiya / Nohay / Qaseeday
Sarmaayeh Naz | Syed Intizar Raza Rizvi – Naz Akbarabadi.
Syed Intizar Raza,Naz Akbarabadi ka Ta’aruf: Aap Dr. Syed Mahmood Hasnain kay beloved father-in-law hain. Aap ka ta’aluq India kay aik Sher Aagrah ki mardam khaiz aur Adab saaz sarzameen say tha. Syed Inetzar Raza famous Ilm dost, kitab parast aur nihayat wasiul mutaliya danishwar thay. Aap nay aik Ilmi o Adbi gharanay may parwarish pai. Aala zouq e Sher o Adab Khuda ki ata e Khaas thi.Sheri meyaar kay sath sath Mashq e sukhan, zod goi aur jumla asnaf-e shair may shairana qudrat kay aitbaar say buhut say shur’aa say sabqat rakhtay thay. Aap, TEHREEK E PAKISTAN may bhi buhut active karkun thay. Muslim League Aagrah kay khufiya serecratery Rahay. 1946 may aik buhut bari samaji badi kay khalif kamyaab Muhim chalai, 1958 may ” Tajalliyat e Fikr ” matbooa muharrum 1378 hijri ki tadween ki zimmadari uthai. Aap nay apni shairi ki ibteda 1938 , 14 saal ki kamsini may aik salam say ki jo salana Tarhai musalla muneqada Aza Khana Shah Gunj Aagrah ke Matboa roodad may shamil hay. Is kay baad gazal goi ka silsila shuroo hoa aur pehli Gazal wo kahi jiska maqta ALLAMA IQBAL ki rehlat say mutaasir ho kar likha, “Aey NAZ Sham e Shairi khamosh ho gai, Iqbal Aah Ronaq e Mehfil nahi raha”. Aap kay baray may buhut say logon nay apnay alfaaz may khiraj e Tahseen paish kia, jis may say aik personality ilm o adab may ma’roof, Syed Muddabir Rizvi, sabiq script editor, Pakistan TV Center Karachi kay kuch alfaza yahan paish kiay ja rahay hain. Syed Intizar Raza wo Jawan Thai jo zahanat o Tabai say maal a maal, sergerm o fa’aal, Basha’oor o Shaista, Samaji, Tehzeebi, Qomi, Adbi aur Mazhabi kamon may paish paish, Mustaid, Haq goi aur baybaki o Teera, Badi ki quwaton say nabrad azma, Munafiqat say bayzaar, Dikhaway aur Numaish say gurayzan, wo un insanon aur kharay syed zadon may say thay kay jin kay liay Allama Iqbal kay is misery kay maini o issar miltay hain, “Kirdaar may Guftaar may ALLAH Ki Burhaan”.
Syed Intizar Raza – Naz Akbarabadi ka sheri majmooa, “Sarmaayeh-e-Naz”, aap kay paish e nazar hay jis may Hamd, Na’at, Manqabat, Qasaid, Nohay aur Marsiya shamil hain. Yeh in kay Darya e Sukhan ki aik choti si neher hay . Yeh tamam mushtamilat shairi miyaar aur makhsoos sinf kay taqazon kay tanazur may bagour mutaley ki mutaqazi hain.In kay kalam may Fikr aur jazba poori tarah ham ahang nazar aata hain aur wo ehsassat-o-khayalat kay izhar-o-bayan may maharat rakhtay hain.
Furat-e-Dard | Syed Intizar Raza Rizvi – Naz Akbarabadi. Yeh Kitab “Furat-e-Dard” Syed Intezar Raza kay Darya- e- Sukhan ki aik choti si Neher hay jo kay mozu ki jalalat kay lehaz say barrai ki shan rakhti hay. Is kay mushtamilaat may Hamd, Na’at, Manqabat, Qasaid, Salam, Nohay aur Marsiya waghaira alag alag muntakhib namoonay kay tor per hain.Is may Shamil marsiya jo aik jadeed aur fikr angaiz marsiya hay, Ejaad o ikhtesar kay bawajood Husn e bayan aur taseer ki khoobi numayan hay, mazeed yeh kay koi eham marhala nazar andaaz nahi hoa, waqiyaat o rawayaat ki jehton aur nattaij ko bui faramosh nahi kia hay, silsilay ki her kari ko apna ta’asur o nateeja majrooh ya ghair mo’assar nahi honay dia hay.
Zikr e Islam ta ba Akbar e Jaam | Syed Intizar Raza Rizvi – Naz Akbarabadi. Ap nay apni deegar adbi sargarmion kay sath sath 1994 may aik taweel Nazm likhi jo Tulo- e- Islam say lay kar un kay khandan kay is dour e hazir tak ki Manzoom tareekh hay, jis ka naam “Zikr e Islam taba Akbar e Jaam”. buhut si sifaat ki bunyad per Aap kay khandan ko “AKBAR JAAM” ka makhsoos aizaaz diya gaya jo Shah Ganj Agrah may kisi aur ko mayyasar nahi hoa. yeh nazm 14 sadiyon ki taweel tareekh ka khulasa hay, nazm kay mundrajaat ki bunyad shairana ikhterah nahi hay balky thous tareekhi shawahid aur muatbarana khandani rawayat per rakhi gai hay. is nazm ki ibteda Tareekh e Islam kay in eham waqiaat kay nehayat ajmali bayan say ki gai hay jo Tulo e Islam ki pehli 3 sadiyon kay doran paish aaiy thay.
Manzoom Khiraj e Aqeedat Ayatuallah Roohullah Khomeani (RA) kay Inteqal per | Syed Intizar Raza Rizvi – Naz Akbarabadi.
Basta | Prof Syed Sibte Jafar Zaidi
Payam e Kaleem | Maulana Syed Zeeshan Haider Jawadi
Bayyaz | Ali Safdar
Bayyaz dasta Nasiraney Hussain | Syed Razi Rizvi
Rubaieyat e Anees | Ali Jawad Zaidi
Rubaieyat e Meer Anees Murhoom | Syed Muhammed Abbas
Charagh e Aza | Indian Hyderabadi : Salaam, Marsyeh, Nowhay | Mirza Wajahat Ali
Aqeedaat kay Phool | Ahmed Ali Aseer

